Hai Duniya Mein Zaban Meri Agar Band
hai duniya mein zaban meri agar band
magar mani ke mujh par kab hain dar band
jo sab nama kiya aata hai dekhen
likha nama diya qasid ko sar-band
KHuda jaane hai is mein maslahat kya
khuli hai rah lekin hai KHabar band
rihai jite-ji mumkin nahin hai
qafas hai aahani dar-band par band
kahen bhi ab nahin mera Thikana
ki ek ek ghar hai band ek ek dar band
na kyun taklif ho arman ko dil mein
kahan jae kidhar jae hai ghar band
mujhe aata nahin kya kaam karna
magar bab-e-dua band aur asar band
kahen bhule se koi aa to jae
hum apne dil mein rakkhenge nazar band
dua ye hai ki ya-rab mutmain hon
ho ulfat mein kasi surat se shar band
wo raaziq rizq pahunchata hai sab ko
khulen sattar agar ho ek dar band
baradar quwwat-e-bazu hai mana
magar farzand hota hai jigar-band
mera dil bhi tilismi hai KHazana
ki is mein KHair bhi hai aur shar band
bashir achchhi zaban pai hai tu ne
tari durj-e-dahan mein hain guhar band
(711) Peoples Rate This