Zahir Meri Shikast Ke Aasar Bhi Nahin
zahir meri shikast ke aasar bhi nahin
mujh ko yaqin fath ka is bar bhi nahin
qaid-e-makan se dekhiye kab tak rihai ho
ab tak to bad-guman dar-o-diwar bhi nahin
kis sehr ki giraft mein aae hue hain hum
aankhen bhi hain khuli hui bedar bhi nahin
jo kuchh ki dil mein ho bhari mahfil mein kah sake
har shaKHs mein ye jurat-e-izhaar bhi nahin
kya asl kaenat ko 'saifi' samajh sakun
mujh par ayan to zat ke asrar bhi nahin
(898) Peoples Rate This