Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fc3c08b6d8088ac5d601572d2526b114, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga - Bashir Saifi Poetry In English - Darsaal

Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga

kise KHabar hai main dil se ki jaan se guzrunga

jo bar bar saf-e-dushmanan se guzrunga

yaqin bhi tujhe aaega meri hasti par

yahi nahin ki main tere guman se guzrunga

har ek shai meri jaanib hi multafit hogi

main tere sath agar shahr-e-jaan se guzrunga

andheri raat ka mujh ko zara bhi KHauf nahin

kai charagh jalenge jahan se guzrunga

zamin zad hun 'saifi' zamin pe rahna hai

na kahkashan na kisi aasman se guzrunga

(843) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga In English By Famous Poet Bashir Saifi. Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga is written by Bashir Saifi. Read famous Poem Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga for youth and Student by Bashir Saifi. Free Download Kise KHabar Hai Main Dil Se Ki Jaan Se Guzrunga in PDF.