Aisa Lagta Hai MuKhaalif Hai KHudai Meri
aisa lagta hai muKHalif hai KHudai meri
koi karta hi nahin khul ke burai meri
mujh mein madfun baDe shahr-e-maani the magar
dur tak kar na saka waqt KHudai meri
be-sada shahr tha KHamosh the galiyon ke makin
ek muddat mujhe aawaz na aai meri
KHair-KHwahi ka raha yun to sabhi ko dawa
chahta bhi to koi dil se bhalai meri
shab ki dahliz pe qazzaq zarurat to nahin
chhin leta hai jo din-bhar ki kamai meri
kuchh mere ilm ne bhi mujh ko fazilat baKHshi
fan se nisbat ne bhi tauqir baDhai meri
mujh ko mujh tak hi na mahdud samajhna 'saifi'
la-makan se bhi pare tak hai rasai meri
(713) Peoples Rate This