Jab Se Mere Raqib Ka Rasta Badal Gaya
jab se mere raqib ka rasta badal gaya
tab se mere nasib ka naqsha badal gaya
shirin tha kitna aap ka andaz-e-guftugu
do-chaar sikke aate hi lahja badal gaya
kis ki zaban se mujhe dekho KHabar mujhe
kaise mere harif ka chehra badal gaya
un ke badalne ka mujhe afsos kuchh nahin
afsos ye hai apna hi saya badal gaya
jab se baDon ki ghar se hukumat chali gai
jannat-numa makan ka naqsha badal gaya
rahon ki KHak chhanta phirta hun aaj tak
rahbar badal gaya kabhi rasta badal gaya
kahta hai us ke jaane se kuchh bhi nahin hua
'mahtab' jabki dil ka wo Dhancha badal gaya
(765) Peoples Rate This