Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3415dd8605f2edc6e3331d6251c2acec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain - Bashir Mehtaab Poetry In English - Darsaal

Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain

hum hatheli pe jaan rakhte hain

aur teri aman rakhte hain

chand ashkon ke waste sahab

teri baaton ka man rakhte hain

tum guzarte ho ajnabi ban kar

hum to dil par chaTan rakhte hain

jo bhi hain hum bas ek hamin hain hum

dost kya kya guman rakhte hain

miThi baaton se kya unhen matlab

har ghaDi sina tan rakhte hain

kitne shatir hain wo mere ham-dam

dil mein tir-o-kaman rakhte hain

KHamushi maslahat rahi 'mahtab'

warna hum bhi zaban rakhte hain

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain In English By Famous Poet Bashir Mehtaab. Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain is written by Bashir Mehtaab. Read famous Poem Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain for youth and Student by Bashir Mehtaab. Free Download Hum Hatheli Pe Jaan Rakhte Hain in PDF.