Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2c8f55288e39f8f3289257f568c9ef6d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain - Bashir Mehtaab Poetry In English - Darsaal

Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain

aaj-kal ke shabab dekhe hain

sare KHana-KHarab dekhe hain

phul jaise husain chehre bhi

hae sahte azab dekhe hain

ishq ki rah mein wo luTte hue

hum ne lakhon janab dekhe hain

hai ye ulfat bhi kya bala sahab

is mein jhukte nawab dekhe hain

ek ek pal ko yaad rakhte the

wo tumhaare hisab dekhe hain

tum haTa do ye apne chehre se

hum ne kafi naqab dekhe hain

pahle mohsin the phir bane zalim

log aise itab dekhe hain

jis pe mahtab tum rahe marte

ab wo hote sarab dekhe hain

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain In English By Famous Poet Bashir Mehtaab. Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain is written by Bashir Mehtaab. Read famous Poem Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain for youth and Student by Bashir Mehtaab. Free Download Aaj-kal Ke Shabab Dekhe Hain in PDF.