Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_de6f48ee06878641a6cbb70db3c07abc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan - Bashir Farooqi Poetry In English - Darsaal

Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan

shahr-e-fasl-e-gul se chal kar pattharon ke darmiyan

zindagi aa ja kabhi hum be-gharon ke darmiyan

main hun wo taswir jis mein hadse bharte hain rang

KHal-o-KHat khulte hain mere KHanjaron ke darmiyan

pahle hum ne ghar bana kar fasle paida kiye

phir uTha din aur diwaren gharon ke darmiyan

ahd-e-hazir mein uKHuwwat ka tasawwur hai magar

tazkaron mein kaghazon par rahbaron ke darmiyan

un shahidan-e-wafa ke nam mere sab suKHan

sar-bulandi jin ko hasil hai saron ke darmiyan

kaisa fan kaisi zehanat ye zamana aur hai

sikh lo kuchh shobade bazigaron ke darmiyan

uD gaya to shaKH ka sara badan jalne laga

dhup rakh li thi parinde ne paron ke darmiyan

ye jo KHana hai sukunat ka yahan likh do 'bashir'

phul hun lekin khila hun pattharon ke darmiyan

(868) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan In English By Famous Poet Bashir Farooqi. Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan is written by Bashir Farooqi. Read famous Poem Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan for youth and Student by Bashir Farooqi. Free Download Shahr-e-fasl-e-gul Se Chal Kar Pattharon Ke Darmiyan in PDF.