Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1a303313c511ab7b88d0da5be5f741cc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha - Bashir Farooqi Poetry In English - Darsaal

Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha

main jitni der teri yaad mein udas raha

bas utni der mera dil bhi mere pas raha

ajab si aag thi jalta raha badan sara

tamam umr wo honTon pe ban ke pyas raha

mujhe ye KHauf tha wo kuchh sawal kar dega

main dekh kar bhi use us se na-shanas raha

tamam raat ajab intishaar mein guzri

tasawwuraat mein dahshat rahi hiras raha

gale laga ke samundar hasin kashti ko

sukut-e-tira-fazai mein bad-hawas raha

'bashir' main use kis tarha be-wafa kah dun

nigah ban ke jo is dil ke aas pas raha

(1142) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha In English By Famous Poet Bashir Farooqi. Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha is written by Bashir Farooqi. Read famous Poem Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha for youth and Student by Bashir Farooqi. Free Download Main Jitni Der Teri Yaad Mein Udas Raha in PDF.