Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e79772a95a90af327fd02e5f6ec82501, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai - Bashir Farooq Poetry In English - Darsaal

Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai

saba gul-e-rez jaan-parwar faza hai

ye mausam aur viran mai-kada hai

giraftar-e-KHam-o-kakul hai koi

gham-e-dauran mein koi mubtala hai

nahin hai bewafai ki shikayat

tumhaari kam-nigahi ka gila hai

rah-e-hasti se marg-e-na-gahan tak

faqat do hi qadam ka fasla hai

ye duniya imtihan-gah-e-mohabbat

ye duniya hasil-e-karb-o-bala hai

badal Dala nizam-e-jaan-o-dil ko

ye sab mere junun ka hausla hai

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai In English By Famous Poet Bashir Farooq. Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai is written by Bashir Farooq. Read famous Poem Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai for youth and Student by Bashir Farooq. Free Download Saba Gul-e-rez Jaan-parwar Faza Hai in PDF.