Zarron Mein Kunmunati Hui Kaenat Hun
zarron mein kunmunati hui kaenat hun
jo muntazir hai jismon ki main wo hayat hun
donon ko pyasa mar raha hai koi yazid
ye zindagi husain hai aur main furaat hun
neza zamin pe gaD ke ghoDe se kud ja
par main zamin pe aabla-pa KHali hat hun
kaisa falak hun jis pe samundar sawar hai
suraj bhi mere sar pe hai main kaisi raat hun
andhe kuen mein mar ke jo phenk aae the
un bhaiyon se kahiyo abhi tak hayat hun
aati hui train ke jo aage rakh gai
us man se ye na kahna ba-qaid-e-hayat hun
bazar ka naqib samajh kar mujhe na chheD
KHamosh rahne de main tere ghar ki baat hun
(1194) Peoples Rate This