Yunhi Be-sabab Na Phira Karo Koi Sham Ghar Mein Raha Karo
yunhi be-sabab na phira karo koi sham ghar mein raha karo
wo ghazal ki sachchi kitab hai use chupke chupke paDha karo
koi hath bhi na milaega jo gale miloge tapak se
ye nae mizaj ka shahr hai zara fasle se mila karo
abhi rah mein kai moD hain koi aaega koi jaega
tumhein jis ne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo
mujhe ishtihaar si lagti hain ye mohabbaton ki kahaniyan
jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo
kabhi husn-e-parda-nashin bhi ho zara aashiqana libas mein
jo main ban sanwar ke kahin chalun mere sath tum bhi chala karo
nahin be-hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
use itni garmi-e-shauq se baDi der tak na taka karo
ye KHizan ki zard si shaal mein jo udas peD ke pas hai
ye tumhaare ghar ki bahaar hai use aansuon se hara karo
(3010) Peoples Rate This