Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8cce6bee52938e4a9f4259fe3d813650, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai

ye charagh be-nazar hai ye sitara be-zaban hai

abhi tujh se milta-julta koi dusra kahan hai

wahi shaKHs jis pe apne dil-o-jaan nisar kar dun

wo agar KHafa nahin hai to zarur bad-guman hai

kabhi pa ke tujh ko khona kabhi kho ke tujh ko pana

ye janam janam ka rishta tere mere darmiyan hai

mere sath chalne wale tujhe kya mila safar mein

wahi dukh-bhari zamin hai wahi gham ka aasman hai

main isi guman mein barson baDa mutmain raha hun

tera jism be-taghayyur mera pyar jawedan hai

unhin raston ne jin par kabhi tum the sath mere

mujhe rok rok puchha tera ham-safar kahan hai

(1337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Ye Charagh Be-nazar Hai Ye Sitara Be-zaban Hai in PDF.