Wo Surat Gard-e-gham Mein Chhup Gai Ho
wo surat gard-e-gham mein chhup gai ho
bahut mumkin ye wo hi aadmi ho
main Thahra aabshaar-e-shahr-e-pur-fan
ghane jangal ki tum bahti nadi ho
bahut masruf hai angusht-e-naghma
magar tum to abhi tak bansuri ho
meri aankhon mein registan base hain
koi aise mein sawan ki jhaDi ho
diya jo bujh chuka hai phir jalana
bahut mahsus jab meri kami ho
ye shab jaise koi be-man ki bachchi
akele rote rote so gai ho
wo dariya mein nahana chandni ka
ki chandi jaise ghul kar bah rahi ho
kahani kahne wale kah rahe hain
magar jaane wahi jis par paDi ho
miyan! diwan ka mat roab Dalo
paDho koi ghazal jo waqai ho
ghazal wo mat sunana hum ko shaer
jo behad samain mein chal chuki ho
(963) Peoples Rate This