Shabnam Ke Aansu Phul Par Ye To Wahi Qissa Hua
shabnam ke aansu phul par ye to wahi qissa hua
aankhen meri bhigi hui chehra tera utra hua
ab in dinon meri ghazal KHushbu ki ek taswir hai
har lafz ghunche ki tarah khil kar tera chehra hua
shayad use bhi le gae achchhe dinon ke qafile
is bagh mein ek phul tha teri tarah hansta hua
har chiz hai bazar mein is hath de us hath le
izzat gai shohrat mili ruswa hue charcha hua
mandir gae masjid gae piron faqiron se mile
ek us ko pane ke liye kya kya kiya kya kya hua
anmol moti pyar ke duniya chura kar le gai
dil ki haweli ka koi darwaza tha TuTa hua
barsat mein diwar-o-dar ki sari tahriren miTin
dhoya bahut miTta nahin taqdir ka likkha hua
(1439) Peoples Rate This