Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4827be826f143fd8c77c65ce5ce32f89, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai

sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai

ba-wazu ho ke bhi chhute hue Dar lagta hai

main tere sath sitaron se guzar sakta hun

kitna aasan mohabbat ka safar lagta hai

mujh mein rahta hai koi dushman-e-jaani mera

KHud se tanhai mein milte hue Dar lagta hai

but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain

dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai

zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin

panw phailaun to diwar mein sar lagta hai

(3593) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Sar Se Pa Tak Wo Gulabon Ka Shajar Lagta Hai in PDF.