Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4e8c55b40e40551e8e4eb0b9b8231cf0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai

meri ghazal ki tarah us ki bhi hukumat hai

tamam mulk mein wo sab se KHub-surat hai

kabhi kabhi koi insan aisa lagta hai

purane shahr mein jaise nai imarat hai

jami hai der se kamre mein ghibaton ki nashist

faza mein gard hai mahaul mein kudurat hai

bahut dinon se mere sath thi magar kal sham

mujhe pata chala wo kitni KHub-surat hai

ye zairan-e-ali-gaDh ka KHas tohfa hai

meri ghazal ka tabarruk dilon ki barakat hai

(1256) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Meri Ghazal Ki Tarah Uski Bhi Hukumat Hai in PDF.