Koi Phul Dhup Ki Pattiyon Mein Hare Ribbon Se Bandha Hua
koi phul dhup ki pattiyon mein hare ribbon se bandha hua
wo ghazal ka lahja naya naya na kaha hua na suna hua
jise le gai hai abhi hawa wo waraq tha dil ki kitab ka
kahin aansuon se miTa hua kahin aansuon se likha hua
kai mil ret ko kaT kar koi mauj phul khila gai
koi peD pyas se mar raha hai nadi ke pas khaDa hua
wahi KHat ki jis pe jagah jagah do mahakte honTon ke chand the
kisi bhule-bisre se taq par tah-e-gard hoga daba hua
mujhe hadson ne saja saja ke bahut hasin bana diya
mera dil bhi jaise dulhan ka hath ho mehndiyon se racha hua
wahi shahr hai wahi raste wahi ghar hai aur wahi lawn bhi
magar is dariche se puchhna wo daraKHt anar ka kya hua
mere sath jugnu hai ham-safar magar is sharar ki bisat kya
ye charagh koi charagh hai na jala hua na bujha hua
(1954) Peoples Rate This