Koi Lashkar Ki DhaDakte Hue Gham Aate Hain
koi lashkar ki dhaDakte hue gham aate hain
sham ke sae bahut tez qadam aate hain
dil wo darwesh hai jo aankh uThata hi nahin
is ke darwaze pe sau ahl-e-karam aate hain
mujh se kya baat likhani hai ki ab mere liye
kabhi sone kabhi chandi ke qalam aate hain
main ne do-chaar kitaben to paDhi hain lekin
sher ke taur-tariqe mujhe kam aate hain
KHub-surat sa koi hadisa aankhon mein liye
ghar ki dahliz pe Darte hue hum aate hain
(1117) Peoples Rate This