Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cc14138540059d9e190499a7f0b0cb58, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai

jab raat ki tanhai dil ban ke dhaDakti hai

yaadon ke darichon mein chilman si sarakti hai

loban mein chingari jaise koi rakh jae

yun yaad teri shab bhar sine mein sulagti hai

yun pyar nahin chhupta palkon ke jhukane se

aankhon ke lifafon mein tahrir chamakti hai

KHush-rang parindon ke lauT aane ke din aae

bichhDe hue milte hain jab barf pighalti hai

shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai

jis Dal pe baiThe ho wo TuT bhi sakti hai

(2328) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Jab Raat Ki Tanhai Dil Ban Ke DhaDakti Hai in PDF.