Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d3c60ddc42adf234dec754c339b9e74e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai

hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai

kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si sham hai

yunhi roz milne ki aarzu baDi rakh-rakhaw ki guftugu

ye sharafaten nahin be-gharaz ise aap se koi kaam hai

kahan ab duaon ki barkaten wo nasihaten wo hidayaten

ye mutalbon ka KHulus hai ye zaruraton ka salam hai

wo dilon mein aag lagaega main dilon ki aag bujhaunga

use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai

na udas ho na malal kar kisi baat ka na KHayal kar

kai sal baad mile hain hum tere nam aaj ki sham hai

koi naghma dhup ke ganw sa koi naghma sham ki chhanw sa

zara in parindon se puchhna ye kalam kis ka kalam hai

(4484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai In English By Famous Poet Bashir Badr. Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai is written by Bashir Badr. Read famous Poem Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Hai Ajib Shahr Ki Zindagi Na Safar Raha Na Qayam Hai in PDF.