Falak Se Chand Sitaron Se Jam Lena Hai
falak se chand sitaron se jam lena hai
mujhe sahar se nai ek sham lena hai
kise KHabar ki farishte ghazal samajhte hain
KHuda ke samne kafir ka nam lena hai
muamla hai tera badtarin dushman se
mere aziz mohabbat se kaam lena hai
mahakti zulfon se KHushbu chamakti aankh se dhup
shabon se jam-e-sahar ka salam lena hai
tumhaari chaal ki aahistagi ke lahje mein
suKHan se dil ko masalne ka kaam lena hai
nahin main 'mir' ke dar par kabhi nahin jata
mujhe KHuda se ghazal ka kalam lena hai
baDe saliqe se noTon mein us ko tulwa kar
amir-e-shahr se ab intiqam lena hai
(1097) Peoples Rate This