Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f1d4bce97d4baca4e194a2c10f7b7756, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe - Bashir Badr Poetry In English - Darsaal

Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe

agar yaqin nahin aata to aazmae mujhe

wo aaina hai to phir aaina dikhae mujhe

ajab charagh hun din raat jalta rahta hun

main thak gaya hun hawa se kaho bujhae mujhe

main jis ki aankh ka aansu tha us ne qadr na ki

bikhar gaya hun to ab ret se uThae mujhe

bahut dinon se main in pattharon mein patthar hun

koi to aae zara der ko rulae mujhe

main chahta hun ki tum hi mujhe ijazat do

tumhaari tarah se koi gale lagae mujhe

(1227) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe In English By Famous Poet Bashir Badr. Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe is written by Bashir Badr. Read famous Poem Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe for youth and Student by Bashir Badr. Free Download Agar Yaqin Nahin Aata To Aazmae Mujhe in PDF.