Abhi Is Taraf Na Nigah Kar Main Ghazal Ki Palken Sanwar Lun
abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun
mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utar lun
main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua
zara Thahar ja isi moD par tere sath sham guzar lun
agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho
to main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun
kahin aur banT de shohraten kahin aur baKHsh de izzaten
mere pas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubar lun
kai ajnabi teri rah mein mere pas se yun guzar gae
jinhen dekh kar ye taDap hui tera nam le ke pukar lun
(2400) Peoples Rate This