Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6f1ce1d78b4b70aec70dc3b72759e0b9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai - Basheer Munzir Poetry In English - Darsaal

Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai

soe hue jazbon ko jaga kar phir wo sham na aai

sang tere bas ek din aa kar phir wo sham na aai

teri baaton ki KHushbu se mahki wadi wadi

phulon ke ambar laga kar phir wo sham na aai

nadi kinare ka wo manzar takne ko ji chahe

kunjon ki ek Dar uDa kar phir wo sham na aai

baiThe baiThe jal uThti hain bhigi bhigi aankhen

aab-e-rawan mein aag laga kar phir wo sham na aai

roz hi suraj nikle 'manzar' roz hi suraj Dube

main jis ki rah dekhun ja kar phir wo sham na aai

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai In English By Famous Poet Basheer Munzir. Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai is written by Basheer Munzir. Read famous Poem Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai for youth and Student by Basheer Munzir. Free Download Soe Hue Jazbon Ko Jaga Kar Phir Wo Sham Na Aai in PDF.