Kya BichhaD Kar Rah Gaya Jaane Bhari Barsat Mein
kya bichhaD kar rah gaya jaane bhari barsat mein
ek koyal kukti hai aam ke baghat mein
soch mein gum faKHta baiThi hui hai shaKH par
baz hai upar to niche ek shikari ghat mein
waqt ke panchhi ko uDna tha bil-aKHir uD gaya
aaDi-tirchhi kuchh lakiren hain faqat ab hath mein
koi jita hai jiye gar koi marta hai mare
aaj ke insan ko dilchaspi hai apni zat mein
ek talluq ek mohabbat hai mujhe is shahr se
mere bachpan ka baDa hissa kaTa gujraat mein
jal rahi thi raat meri tap raha tha mera din
kya jiye manzar koi aise kaThin haalat mein
(986) Peoples Rate This