Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_95d25a716f4fb3d12f1450686eb3f66a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke - Basheer Munzir Poetry In English - Darsaal

Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke

har roz hi din bhar ke jhamelon se nimaT ke

ro lete hain hum raat ke aanchal se lipaT ke

hum kaun hain kyun baiThe hain yun rahguzar par

puchha na kisi ek bhi musafir ne palaT ke

kya kya the mere dil ke sahife mein mazamin

dekhe na kisi ne mere auraq ulaT ke

phirte rahe aawara KHayalat ki surat

kya chiz thi hum jis ke liye dahr mein bhaTke

shab karwaTen lete to na guzre kabhi 'munzir'

so jao miyan dard ki bahon mein simaT ke

(694) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke In English By Famous Poet Basheer Munzir. Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke is written by Basheer Munzir. Read famous Poem Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke for youth and Student by Basheer Munzir. Free Download Har Roz Hi Din Bhar Ke Jhamelon Se NimaT Ke in PDF.