Achchhe Kabhi Bure Hain Haalat Aadmi Ke
achchhe kabhi bure hain haalat aadmi ke
pichhe lage hue hain din raat aadmi ke
ruKHsat hue to jaana sab kaam the adhure
kya kya karen jahan mein do hat aadmi ke
miTTi se wo uTha hai miTTi mein ja milega
uDte phirenge ek din zarraat aadmi ke
ek aag hasraton ki sochon ka ek samundar
kya kya wabaal yarab hain sath aadmi ke
is daur-e-irtiqa mein 'munzir' qadam qadam par
pamal ho rahe hain jazbaat aadmi ke
(1044) Peoples Rate This