Pyar Ke KhaTTe-miThe Name Wo Likhti Hai Main PaDhta Hun

pyar ke khaTTe-miThe name wo likhti hai main paDhta hun

har shab ko jaane-anjaane wo likhti hai main paDhta hun

aaj bhi furqat ke lamhon mein mere nam ke harf-e-adawat

TeDhe-meDhe tirchhe aaDe wo likhti hai main paDhta hun

main nazuk ehsas likhun to bojh tale wo dab jati hai

lafz jawaban patthar bandhe wo likhti hai main paDhta hun

roz baqa-e-baham ki tajwiz pe hum ghul-mil jate hain

baiTh ke aksar maut kinare wo likhti hai main paDhta hun

meri ThanDi aah pe wo har tarah samaat rok chuki hai

lekin apne man ki baaten wo likhti hai main paDhta hun

jab us ki tausif likhun to KHushbu se KHushbu likhta hun

badle mein na-zeba tane wo likhti hai main paDhta hun

(1761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyar Ke KhaTTe-miThe Name Wo Likhti Hai Main PaDhta Hun In English By Famous Poet Basheer Dada. Pyar Ke KhaTTe-miThe Name Wo Likhti Hai Main PaDhta Hun is written by Basheer Dada. Read famous Poem Pyar Ke KhaTTe-miThe Name Wo Likhti Hai Main PaDhta Hun for youth and Student by Basheer Dada. Free Download Pyar Ke KhaTTe-miThe Name Wo Likhti Hai Main PaDhta Hun in PDF.