Qarya Qarya KHak UDai Kucha-gard Faqir Hue
qarya qarya KHak uDai kucha-gard faqir hue
purab pachchhim DhunDa us ko aaKHir gosha-gir hue
kaun hain ye kya rabt tha un se kya kahiye kuchh yaad nahin
ye chehre kab dil mein utre kis lamhe taswir hue
sau pairae DhunDe phir bhi aaj ke din tak aajiz hain
hae wo baat jo kah bhi na pae aur daftar tahrir hue
sadha gahri soch mein Dubi sadiyan hum par sarf huin
ek do baras ki baat nahin hum qarnon mein tamir hue
wo shab wo shab-KHun adu ka kis uslub bayan karen
ghayal kaise pahron taDpe hum kis taur asir hue
kya main kya tu aaj bhi donon KHak hain kal bhi KHak 'bashir'
jina un ka marna un ka jo wajh-e-KHair-e-kasir hue
(848) Peoples Rate This