Har Gam Pe Aawargi-o-dar-ba-dari Mein
har gam pe aawargi-o-dar-ba-dari mein
ek dhyan ka saya hai meri ham-safari mein
ta-hadd-e-nazar pighli hui ret ka dariya
kis samt nikal aae hain ye be-KHabari mein
kis ki tarab-andaz-nazar ghol rahi hai
andoh-o-gham-o-soz mizaj-e-bashari mein
kya koi kahin kunj-e-KHayaban-e-sukun hai
ai dasht-e-gham-e-zist teri be-shajari mein
ai qarya-e-dil dekh guzarti hai isi taur
har shahr pe barbaadi-o-zer-o-zabari mein
ahl-e-talab-o-shauq zamanon se paDe hain
arsa-gah-e-KHud-sozi-o-hairan-nazari mein
lahrae na lahrae wo ab barq-e-KHad-o-KHal
ab hum nahin KHar-e-KHas-e-ashufta-sari mein
ek hamdam-e-derina ki yaadon ki kasak hai
KHushbu-e-KHush-anfasi-e-baad-e-sahari mein
nigaran meri jaanib nigah-e-KHush-hunran hai
kuchh to hunar aaKHir hai meri be-hunari mein
ek tesha-e-sad-para ki surat hain 'bashir' ab
hasil yad-e-tula tha jinhen shisha-gari mein
(817) Peoples Rate This