Giraft-e-zist Mein Hun Qaid-e-be-hisar Mein Hun
giraft-e-zist mein hun qaid-e-be-hisar mein hun
azab-e-arsa-gah-e-jabr-o-iKHtiyar mein hun
KHayal hai to abhi DhunDh phir milun na milun
abhi main tere uDae hue ghubar mein hun
bhaDak raha hai badan ruh ko KHabar bhi nahin
ye kya maqam hai ye kaise shoala-zar mein hun
main kaun hun tere nazdik ye sawal nahin
hubab hun ki sadaf bahar-e-be-kanar mein hun
KHud apne aap se har dam hun barsar-e-paikar
main apni zat ke maidan-e-kar-zar mein hun
mein bhed kya tujhe dun be-karan KHalaon ke
ki main azal se isi halqa-e-madar mein hun
talash kis ki hai mujh ko abhi ye kya sochun
'bashir' abhi to main apne hi intizar mein hun
(797) Peoples Rate This