Ek Be-sabaat Aks Bana Be-nishan Gaya
ek be-sabaat aks bana be-nishan gaya
main ganj-e-be-baha tha magar raegan gaya
bhaTka main apni zat ki wusat mein su-ba-su
main apni justuju mein karan ta karan gaya
tahrir ek aur tair ke tahlil ho gai
ek aur naqsh-e-lauh-e-zaman-o-makan gaya
qaem hue dilon ke abad-mauj rabte
ek jumbish-e-nazar mein gham-e-do-jahan gaya
kya kya chhupe na sabz ridaon mein regzar
kya kya na lutf-e-saKHti-e-dasht-tapan gaya
jadu ka tha dayar koi ya tilism-e-wahm
ye dam-zadan mein shahr ka manzar kahan gaya
dar kya khule bashir KHala-e-basit ke
dil se hazar waswasa-e-asman gaya
(789) Peoples Rate This