Dur Tak Chaaron Taraf Mere Siwa Koi Na Tha
dur tak chaaron taraf mere siwa koi na tha
phir palak jhapki to kya dekha ki KHud main bhi na tha
ek taDap bijli ki aur diwar-o-dar miTTi ke Dher
ek taDap shoale ki aur dariyaon mein pani na tha
daere banti sadaen chhu ke jab hadd-e-ufuq
apne markaz ki taraf lauTin to kuchh baqi na tha
qaid-e-zindan-e-jasad mein tha ye kab kashf-e-wajud
aur bhi kuchh tha main sirf ek paikar-e-KHaki na tha
kya KHabar tum ne kahan kis rup mein dekha mujhe
main kahin moti kahin patthar kahin aaina tha
den hisab-e-roz-o-shab kya us ko jis ke dard se
koi saat koi lamha koi pal KHali na tha
aarzu lal-o-gohar ki kis liye karta 'bashir'
harf-o-mani ka KHazina kya use kafi na tha
(1099) Peoples Rate This