Aisa Tah-e-aflak KHaraba Nahin Koi
aisa tah-e-aflak KHaraba nahin koi
us dasht se zinda kabhi lauTa nahin koi
haibat wo sadaon mein ki larze dar-o-diwar
guzre wo shab-o-roz ki soya nahin koi
viran si viran hui dhyan ki basti
chehra kisi chilman se jhalakta nahin koi
sar phoD ke lauT aati hai jati hai jo aawaz
kya gumbad-e-afaq mein rasta nahin koi
ek aisi masafat hai ki saat bhi kaThin hai
sadiyon ka safar aur kahin saya nahin koi
be-ism nahin khulta dar-e-ganj-e-tilismat
satron mein KHazine hain tamasha nahin koi
dekhi hai 'bashir' ahl-e-nazar ki bhi rasai
baaten meri samjhe mujhe samjha nahin koi
(801) Peoples Rate This