Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_52cbaef15562320834c93fb58c864fc0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pata Nahin Wo Kaun Tha - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Pata Nahin Wo Kaun Tha

pata nahin wo kaun tha

jo mere hath

mugre ki Dal pankh mor ka thama ke chal diya

pata nahin wo kaun tha

hawa ke jhonke ki tarah jo aaya aur guzar gaya

nazar ko rang dil ko nikhaton ke dukh se bhar gaya

main kaun hun

guzarne wala kaun tha

ye phul pankh kya hain kyun mile

ye sochte hi sochte tamam rang ek rang mein utarte gae

siyah rang

tamam nikhaten idhar udhar bikhar gain

KHalaon mein

yaqin hai nahin nahin guman hai

wo koi mera dushman-e-qadim tha

dikha ke jo sarab meri pyas aur baDha gaya

main be-hisab aarzuon ka shikar

intiha-e-shauq mein fareb us ka kha gaya

guman nahin nahin yaqin hai

wo koi mera dost tha

jo do ghaDi ke waste hi kyun na ho

nazar ko rang dil ko nikhaton se bhar gaya

pata nahin kidhar gaya

main is ko DhunDhta hua

tamam kaenat mein

udhar udhar bikhar gaya

(1274) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Nahin Wo Kaun Tha In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Pata Nahin Wo Kaun Tha is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Pata Nahin Wo Kaun Tha for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Pata Nahin Wo Kaun Tha in PDF.