Fasla
na phir wo main tha
na phir wo tum the
na jaane kitni masafaten darmiyan khaDi thin
us ek lamhe ke aaine par
na jaane kitne baras pareshan dhul ki tarah se jame the
jinhen rifaqat samajh ke hum donon mutmain the
is ek lamhe ke aaine mein
jab apne apne naqab ulaT kar
KHud apne chehron ko hum ne dekha
to ek lamha
wo ek lamhe ka aaina kitni sadiyon kitne hazar milon ki shakl mein
darmiyan khaDa tha
na phir wo main tha na phir wo tum the
bas ek viran KHamosh sahra bas ek viran KHamosh sahra
(1074) Peoples Rate This