Ye Husn Hai Jharnon Mein Na Hai Baad-e-chaman Mein
ye husn hai jharnon mein na hai baad-e-chaman mein
jis husn se hai chand rawan nil-gagan mein
ai kash kabhi qaid bhi hota mere fan mein
wo naghma-e-dil-kash ki hai aawara pawan mein
uTh kar teri mahfil se ajab haal hua hai
dil apna bahalta hai na basti mein na ban mein
ek husn-e-mujassam ka wo pairahan-e-rangin
Dhal jae dhanak jaise kisi chandr-kiran mein
ai nikhat-e-awara zara tu hi bata de
hai tazgi phulon mein ki us shoKH ke tan mein
dekha tha kahan us ko hamein yaad nahin hai
taswir si phirti hai magar ab bhi nayan mein
is daur mein aasan to na thi aisi ghazal bhi
kuchh fan abhi zinda hai magar mulk-e-dakan mein
(1078) Peoples Rate This