Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_280234f3c6c97ae696b07e33dcd04c55, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue

kya kya log KHushi se apni bikne par tayyar hue

ek hamin diwane nikle hum hi yahan par KHwar hue

pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah

jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue

aap wo syane raste ke har patthar ko but man liya

hum wo pagal apni rah mein aap hi KHud diwar hue

apni apni jagah par donon be-bas bhi masrur bhi hain

tum tahrir-e-sang hue hum bhula hua iqrar hue

aane wali subh ginegi raat ke andhe tufan mein

kitne sahil hi par Dube kitne bhanwar ke par hue

(1978) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Kya Kya Log KHushi Se Apni Bikne Par Tayyar Hue in PDF.