Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5b54d535ac3204de994dbf4ba821f1cc, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera

har nai rut mein naya hota hai manzar mera

ek paikar mein kahan qaid hai paikar mera

main kahan jaun ki pahchan sake koi mujhe

ajnabi man ke chalta hai mujhe ghar mera

jaise dushman hi nahin koi mera apne siwa

lauT aata hai meri samt hi patthar mera

jo bhi aata hai wahi dil mein sama jata hai

kitne dariyaon ka pyasa hai samundar mera

tu wo mahtab taken rah ujale teri

main wo suraj ki andhera hai muqaddar mera

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Har Nai Rut Mein Naya Hota Hai Manzar Mera in PDF.