Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_651b86ff43410779f6e3ef8086fca6ec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha

dil ke har dard ne ashaar mein Dhalna chaha

apna pairahan-e-be-rang badalna chaha

koi an-jaani si taqat thi jo aaDe aai

warna hum ne to bahar-gam sambhalna chaha

chahte to kisi patthar ki tarah ji lete

hum ne KHud mom ki manind pighalna chaha

aankhen jalne lagin tapte hue bazaron mein

dil ne jab bhi kisi manzar pe machalna chaha

sirf hum hi nahin har ek ne jine ke liye

ek na ek jhuTe sahaare se bahalna chaha

kaun hai ye jo sisakta hai mere sine mein

kaun hai jis ne mere KHun pe palna chaha

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Dil Ke Har Dard Ne Ashaar Mein Dhalna Chaha in PDF.