Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6c089ac92d6cfb92ac11fba004e0fa9c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang

bazar-e-zindagi mein jame kaise apna rang

hain mushtari ke taur na byopariyon ke Dhang

muddat se phir raha hun KHud apni talash mein

har lamha laD raha hun KHud apne KHilaf jang

ek nam lauh-e-zehn se miTta nahin hai kyun

kyun aaKHir is pe waqt chaDhata nahin hai rang

us se alag bhi umr to kaT hi gai magar

ek ek pal ke bojh se dukhta hai ang ang

shaKH-e-nihaal-e-zehn pe KHwabon ke phul the

hota na apna dast-e-junun kash zer-e-sang

aawaz ke hisar mein dil ab bhi qaid hai

mange hai ab bhi pairahan-e-lafz har umang

kuchh tajraba bhi ab to zamane ka ho gaya

kuchh dal ke bachpane se bhi hum aa gae hain tang

kucha-ba-kucha phirte hain ab is tarah 'bashar'

bhaTke hai jaise hath se TuTi hui patang

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Bazar-e-zindagi Mein Jame Kaise Apna Rang in PDF.