Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2adde5d9709d7f4e222686758959860a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya - Bashar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya

bahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya

mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya

wo sar se panw tak jaise sulagti sham ka manzar

ye kis jadu ki basti mein dil-e-tanha nikal aaya

jin aankhon ki udasi mein bayaban sans lete hain

unhin ki yaad mein naghmon ka ye dariya nikal aaya

sulagte dil ke aangan mein hui KHwabon ki phir barish

kahin konpal mahak uTThi kahin patta nikal aaya

pighal uThta hai ek ek lafz jin honTon ki hiddat se

main un ki aanch pi kar aur bhi sachcha nikal aaya

guman tha zindagi be-samt o be-manzil bayaban hai

magar ek nam par phulon-bhara rasta nikal aaya

(1219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya In English By Famous Poet Bashar Nawaz. Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya is written by Bashar Nawaz. Read famous Poem Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya for youth and Student by Bashar Nawaz. Free Download Bahut Tha KHauf Jis Ka Phir Wahi Qissa Nikal Aaya in PDF.