Zer-e-zamin Hun Tishna-e-didar-e-yar Ka
zer-e-zamin hun tishna-e-didar-e-yar ka
aalam wahi hai aaj talak intizar ka
guzra sharab pine se le kaun dard-e-sar
saqi dimagh kis ko hai ranj-e-KHumar ka
mahshar ke roz bhi na khulegi hamari aankh
sadma uTha chuke hain shab-e-intizar ka
ibrat ki ja hai aalam-e-duniya na kar ghurur
sar kasa-e-gada hai kisi tajdar ka
baad-e-fana bhi hai maraz-e-ishq ka asar
dekho ki rang zard hai mere ghubar ka
ulfat na kuchh pari se na kuchh hur se hai ishq
mushtaq 'barq' roz-e-azal se hai yar ka
(932) Peoples Rate This