Shama Bhi Is Safa Se Jalti Hai
shama bhi is safa se jalti hai
tere ruKH par nigah phisalti hai
KHak uDati hai ai saba meri
be-adab kis tarah se chalti hai
wo na aaya to jaan jaenge
kab tabiat meri bahalti hai
dil nikalta hai us ke gesu se
nagani dekho man ugalti hai
nigah-e-garm yar dekhe hai
kab kisi se ye aankh jalti hai
ek pari-ru pe 'barq' marta hun
jaan us par meri nikalti hai
(793) Peoples Rate This