Rang Se Pairahan-e-sada Hinai Ho Jae
rang se pairahan-e-sada hinai ho jae
pahne zanjir jo chandi ki talai ho jae
KHud-faroshi ko jo tu nikle ba-shakl-e-yusuf
ai sanam teri KHaridar KHudai ho jae
KHat-e-toam ki tarah aashiq o mashuq hain ek
donon bekar hain jis waqt judai ho jae
tangi-e-gosha-e-uzlat hai bayan se bahar
nahin imkan ki chyunTi ki samai ho jae
yahi har uzw se aati hai sada furqat mein
waqt ye wo hai juda bhai se bhai ho jae
apni hi aag mein ai 'barq' jala jata hun
unsur-e-KHak ho turbat jo laDai ho jae
(820) Peoples Rate This