Lab-e-rangin Se Agar Tu Guhar-afshan Hota
lab-e-rangin se agar tu guhar-afshan hota
lucknow lalon ke madan se badaKHshan hota
ai pari tu wo pari hai ki teri dekh ke shakl
har farishta ki tamanna hai ki insan hota
rah gaya parda mera warna tere jate hi
na ye daman nazar aata na gareban hota
aa nikalta kabhi zahid jo teri mahfil mein
hath mein shisha-e-mai taq pe quran hota
KHair guzri jo khule baalon ko us ne bandha
warna majmua anasir ka pareshan hota
mar gaya zulf ki main pech uTha kar ai 'barq'
kyun na afsana mera KHwab-e-pareshan hota
(831) Peoples Rate This