Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_200c844abb0f7e0f0f99bc6c03a5f96f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya - Barq Mirza Raza Poetry In English - Darsaal

Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya

asar zulf ka barmala ho gaya

balaon se mil kar bala ho gaya

junun le ke hamrah aai bahaar

nae sir se phir walwala ho gaya

diya ghair ne bhi dil aaKHir use

mujhe dekh kar man-chala ho gaya

samai dil-e-tang ki dekhiye

ki aalam mein sabit KHala ho gaya

talli zamin se jo nalon ne ki

falak par ayan zalzala ho gaya

hua qatl be-jurm main ja ke 'barq'

wo kucha mujhe karbala ho gaya

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya In English By Famous Poet Barq Mirza Raza. Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya is written by Barq Mirza Raza. Read famous Poem Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya for youth and Student by Barq Mirza Raza. Free Download Asar Zulf Ka Barmala Ho Gaya in PDF.