Dil Jo Surat-gar-e-mani Ka Sanam-KHana Bane
dil jo surat-gar-e-mani ka sanam-KHana bane
aankh jis shai pa paDe jalwa-e-jaanana bane
utne hi ho gae hum manzil-e-irfan ke qarib
jis qadar rasm-o-rah-e-dahr se begana bane
ta-dar-e-yar pahunchta hai wo KHud-rafta-e-shauq
apni hasti se jo is rah mein begana bane
zarf-e-mai TuT ke bhi hone na pae bekar
ho shikasta koi shisha to wo paimana bane
sai-e-nakaam se main hath uThaunga na 'barq'
meri bigDi hui taqdir bane ya na bane
(987) Peoples Rate This