BuDhiya Aur ChiDiya Ki Kahani
aao bachcho git sunaen
git sunaen KHub hansaen
ek buDhiya ne chiDiya pali
nannhi-munni bholi-bhaali
buDhiya baiThi khir pakati
chiDiya us ko git sunati
ek din buDhiya bhuki aai
jaldi jaldi khir pakai
munh dho kar wo khane baiThi
chiDiya git sunane baiThi
buDhiya ne sab kuchh kha Dala
chiDiya ko bhuka hi Tala
chiDiya jab pinjre mein aai
bhuk se us ko nind na aai
chun-chun chun-chun kar ke roi
sari raat usi mein khoi
subh hui aur murgha bola
buDhiya ne jab pinjra khola
pyar se jab us ne chumkara
chiDiya ne chonchon se mara
buDhiya bhagi ghar mein aai
muTThi bhar kar dana lai
jab buDhiya ne dana khilaya
tab chiDiya ne git sunaya
(2601) Peoples Rate This